Sandhya Arghya 2025 | Chhath Puja Evening Arghya Vidhi & Significance

Bharat tyoharo ka desh hai . jisme sabse bada parv mahaparv ” chhath puja ” ko mana jata hai . Chhath puja ka tisra din sham arghaya ka hota hai. Ye din is mahaparv ka sabse mahhatpurn or bada din hota hai . Is din vrat krne wale suray dev ko dunte samay arghaya dete hai , or unki puja krte hai . Is din ki puja krte samay vrati apne parivar ki sukh -shanti ,samriddhi or khushi  mangti hai .

Sandhya arga ghat par nadi me pani me hota hain . Arghaya nadi .talab , dam ye sab ke kinare me hota hain . Bhaut log ane ghar me hi pani bharkar arghaya dene ki jagah bna lete hain. Corona ke samay me kafi logo ne ghat na jakar apne hi ghar me arghay adene ki jagah bna li thi or ghar me chhath puja ko manaya tha . Chhath puja ko krne ke liye ye jaruri nahi hai ki agar ap ghat jaye nadi ke hi pani me jaye tabhi kar sakte hain ,sachche man se or lagan se ap apne ghar par arghaya jagah bnakar bhi ap apne gahr hi chhath puja ko kar sakte hain. Is din log dubte hue suraj ko arghaya dekar dubte hue suraj se prathana krte hain . Is din ki puja or arghaya ka apna alag hi aadhyatmik or samajik mahatva hain.

Chhath puja ke dino ka batna

  1. Pehla din – nahay khaye : Sharir or man ki suddhi karke  vrat ki shuruwat krte hain.
  2. Dusre din -kharna : G ud ki kheer or roti se vrat todkar 36 ghante ka nirjala vrat ki shuruwat krte hain.
  3. Tisra din -sandhya arghaya : Dubte hue suraj ko arghaya or puja krna .
  4. Chautha din – usha argya : Ugte hue suraj ko arghaya dene ke bad vrat ko khatam kr dena .

Sandhya arghaya ke din ka mahatva

Hmare dharm ,hindu dharm me surya dev ko jivan ka aadhar mana gya hai . Unki puja krne se sharir ,man or atma suddh ho jati hai. Chhath ke tisre din jab vrati nirjala vrat me hoti hai,or sham ke samay me wo dubte hue suraj ko arghaya deti hai jise sandhya arghaya kahte hain.

Ye ek aisa samay hota hai jab insn prakriti se or bhi jyada achchhe se juda hua mahus krta hai . Dubta hua suraj ant ka pratik hai ,leekek nayi shuruwat ka vishwas hota hai.

Sandhya arghaya ki puri puja vidhi

Sandhya arghaya ki puja vidhi padchon me hoti hain jise bahut niyam se kiya jata hai :

1. Subah ki taiyari 

  • Vrati subah uthkar nahati hain.
  • Ghar sabhi log ghar ko saf -suthra krne me lage hue hote hain.
  • Phir bhog (prasad ) banane ki taiyari shuru hoti hain.
  • Daura ( tokri ) or sup me pooja ka saman ko sajay jata hain.

2. Prasad or puja ke saman ki taiyari 

Chhath puja ke din kuch special prasad banaye jate hai jo arghaya me chadaye jate hai:

  • Thekuwa : gud or aate se banta hai mitha prasad .
  • Kacha nariyal (dhoka nariyal )
  • Kela ( banana )
  • Suthni ( sweet potato )
  • Seb , santra , narangi , sharifha jaise seasoal phal
  • Sugarcane (ganna )
  • Diya mitti ka or ghee
  • Soop \daura – Jisme sare prasad ko sajaya jata hain.
  • Kurcha -bans ki lakdi se bana pooja stand
  • Pani se bhara lota ya kalash – Arghaya dene ke liye

3. Pooja sthal ki sajja 

  • Nadi ,talab ,kund ya ghat ko saf kiya jata hai or sajaya jata hai.
  • Agar ghar me pooj aho rhi hai to balti ,tub ya tanki me pani bhar kar ghat ka mahol banay jata hai.
  • Rangoli banai jati hai.
  • Diya jalakar puja wale jagah ko roshan kiya jata hai.

4. Surya dev or chhati maiya ki puja

Sham ko surya dev ke dubne se pahle ,vrati or parivar ke log ghat par pahuch jate hai.

Pooja vidhi :

  • Vrati apne hath me soop ko utha kar nadi me khadi hoti hai jise prasad hota hai .
  • Dubte hue suraj ki taraf muh karke geele pani me khadi rahti hai.
  • Pani me khade hokar diya jaalaati hai ,or geet gati hai.
  • Suruya dev ko dudh or pani se panch -panch bar arghaya diya jata hai , kalash ya lota se arghaya diya jata hai .
  • Vrati do bar arghaya deti hai – pehli bar surya ke samne or dusri bar puja ke samapan me .
  • Log chhati maiya ke geet gate hai or folk geet gakar puja ka mahol banate hain.

5. Lok geet or bhakti sangeet 

Chhath puja me log geet ka bahut mahatva hota hai. Sham ke mahilaye or parivar ke log chhath maiya ke geet gati hai . kuch geet aise hai:

  • Ugho suruj dev
  • Kelwa ke pat par
  • Pahile pahal chhathi maiya
  • Kaanch hi baans ke bahangiya

In gano ko sunkar dil ko bahut sukoon milta hain . In gano me bhakti ,shraddha or parivarik sambandho ka sundarta hota hain.

Shandhya arghaya ke samay dhyan dene wali bate
  1. Vrati ke sharirik niyam : vrati pure din nirjala , suddh or brahmchari bani rahti hai.
  2. Bhog me masale ,pyaj or lahsun k ause nhi kiya jata hai .
  3. Mitti ke diye ko ghee se jalaya jata hai .
  4. Plastic ka bhi use nhi kiya jata hai .
  5. Shant man or pavitra bhavnao ke sath arghaya diya jata hai .
Sandhya arghaya ka aadhyatmik arth

Dubte hue suraj ko arghaya dena ek purani parampara hai jo batata hai ki :

  • Zindagi me ant bhi pavitra hota hai .
  • Har dubte pal ke bad nayi shuruwat zaroor hoti hai .
  • Surya dev jeevan ka mool hai- unka samman jivan ka samman hai .

Ye puja batati hai ki tapasya ,tyag or bhakti se har manokamna puri hoti hai.

Samajik mahatva

Sandhya arghaya ke samaya har jagah ka mahol bilkul ek jaisa hota hai .

  • Jati ,dharm ,jaat-paat sab kuch bhoolkar log milkar puja karte hai.
  • Ghat par mahila ,purush ,bachcche , budhe sab ek sath milkar pyar se bhajan or geet gate hai.
  • Ye din pure parivar or samaj ke ekta ka din hota hai.

Puja ke bad kya hota hai

  • Arghaya dene ke bad log ghat se soop lekar wapas aate hai.
  • Raat bhar jagran hota hai- sare log geet gtae hai , diye jalate haior bhakti me dube rahte hai.
  • Agle din subah se arghaya ki poori taiyari ki jati hai.

Log mante hai ki chhath maiya ,surya dev ki bahan hai , sankat se mukti ,santan ki raksha or parivar ki sukh shanti or tarakki ke liye aashirwad deti hai . Unke aashirwad ke liye sab log chhath puja karte hai.


❓ FAQ (with date) for Sandhya Arghya / Chhath Puja

Q1. Sandhya Arghya kya hai?
Sandhya Arghya Chhath Puja ka teesra din hota hai jahan bhakt sunset time pe Surya Dev ko arghya dete hain.

Q2. Sandhya Arghya 2025 kab hai?
Sandhya Arghya 2025 Monday, 27 October 2025 ko hai.

Q3. Sandhya Arghya me kya samagri chadhayi jati hai?
Soop me thekua, seasonal fruits, sugarcane, coconut, lemon aur fruits prasad chadhaya jata hai.

Q4. Sandhya Arghya ka mahatva kya hai?
Yeh Surya Dev aur Chhathi Maiya ko dhanyavaad, aashirwad pranay ka samay hai — mangal, samriddhi aur swasthya ki prarthana ke liye.

Q5. Sandhya Arghya kaha kiya jata hai?
Yeh puja usually river/pond ghats me ki jati hai jahan paani me khade hokar bhakt Surya ko arghya dete hain.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top