Dipawli , jise ham diwali ke nam se bhi jante hain. Diwali bharat ke sabse bade or famous tyoharo me se ek hai . Ise ” diyo ka tyohar ” kha jata hain. Kyuki diwali ke din har ghar me diyo ki roshni hoi hai ,dipawli ke din bharat ke har ghaar me diyo ki roshni jagmagati rahti hai. Dipawli ka tyohar paanch dino tak manaya jata hai- Dhanteras , narak chaturdashi , laxmi pujan (badi diwali) , goverdhan puja or bhai dooj . Inme se lakshmi or ganesh ji ki puja , jo badi dipawli ke din hoti hai bahut mahatvapurna poti hain.
To aaiye ham ye jante hai ki aakhir dipawli me badi diwali din aakhir ganesh or laxmi ji ki hi puja kyu ki jati hai . Iske pichhe ka kya itihas hai . Kya sirf iska dharmik mahatva hai ya iske pichhe itihas or ppurane grantho ka bhi kuch vishesh sambandh hai ? To aaiye pure detail me samajhte hain.
Laxmi ji ka mahatva dipawali me
Laxmi ji dhan ,samriddhi aur samajik sukh or dhan sampatti ki devi hain. Inki puja karne se logo ko apnae ghar me dhan-sampatti ,sukh-shanti aur vikash ka aashirwad milta hain.
1. Samundra manthan ki katha
Purane granthon me bataya gya hai ki samudra manthan ke samay bahut sare alag-alag ratn aur devi -devta prakat hue the . Isi samundra manthan kae samay devi Mahalaxmi ka janm hua tha . Kaha jata hai ki jis din lakshmi ji samudra manthan se prakat hui thi , usi din se unki puja shuru hui or wahi din dipawali ka mool aadhar bana . Isliye dipawali ko lakshami-prakatotsav bhi kaha jata hain.
2. Ayodhya me ram ka aagaman
Ramayan ke anusar ,shri ram 14 sal ka vanvas pura karke ravan ko hra kar jab ayodhya wapas aaye ,tab ayodhya ke logo ne apne ghar or galiyo me diya jalakar unka swagat kiya . Is din ki sukh or samriddhi ke din ko lakshmi ji ke aagman ka prateek mana gya . Isliye is din lakshmi ji ki puja karne ki parampara bani .
3.Dhan or krishi ka sambandh
Purane samay me diwali ke aaspass kheti karne ke liye nya anaj ghar me laya jata tha . Isliye kisan apne anaj ,dhan or kheti ke sthool roop ko laxmi ji ka vardan mante the. Dipawli par laxmi ji ki puja karke log apne liye or ghar ke liye dhan -dhanya me barodhtri ke liye prathna karte the.
Ganesh ji ka mahatva dipawli me
Ganesh ji ko vighna harta kaha jata hai – jo har rukawat ,pareshani or badhao ko door kar dete hai. Ksiii bhi subbhkam , puja ya utsav ka shurawat ganesh ji ke nam se hota hai .
1.Ganesh ji aur laxmi ji ka sambandh
Hindu parampara me kha jata hai ki bina ganaesh ji ke aashirwad se laxmi ji ghar me sthir nhi hoti. matlab ,pehle vighanaharta ko khush karna jaruri hai . Tab hi jakar dhan or samriddhi ki devi ghar me ruti hai . Isliye dipawli ke din laxmi puja ke sath ganesh ji ki bhi puja ki jati hai.
2. Buddhi or samriddhi ka milan
Ganesh ji ko buddhi ,vidya aur samajhdari ka bhagwan mana gya hai . Laxmi ji dhan or samriddhi ki devi hain. Agar dhan ke sath buddhi na ho to dhan ka sahi upyog nhi hota . Isliye dono ki puja sath me karne ka vishesh mahatva hai.
3. Lok kathaye
Lok kathao me kaha gya hai ki laxmi ji bina ganesh ji ke ghar me rukti nahi hai . Isi katha pae har dipawli par ganesh- laxmi ki murtiyo ko sath me sthapit karke puja ki jati hai.
Diwali par laxmi-ganesh puja ki parampara ka itihas
Diwali par laxmi aur ganesh ji ki puja karne ki parampara kai yugo purani hai . Kuch main itihasik aur dharmik karan ye hai:
1.Vedic or puranik aadhar
Rigveda or atharvaeda me laxmi or ganesh dono ke bare me varanan milta hai. Ganpati ko sabse pahle yad karne waqla devta bataya gya hai aur laxmi ji ko samriddhi ki devi . Is tarah se diwali par dono ki sath puja karne ka ek prakritik niyam bani hai .
2.Maurya or gupta kaal
Itihaskar mante hain ki maurya or gupta kaal me diwali samriddhi or vyapar se juda ek bahut bada tyohar ban gya tha . Vyapari is din apni bahi- khata (account books ) ki shuruwat karte the. Ye shuruwat ganesh or laxmi ji ki puja se hoti thi taki nay vayvasay me koi badha na aaye .
3. Madhya kaal aur aaj tak
Samay ke sath ye parampara badhkar ghar-ghar ki parampara ban gyi . Har varg ke log -kisn ,vyapari ,shilpkar ,aur aam grihasth sare log dipawali par laxmi or ganesh ji ki puja karne lage .
Puja vidhi or dharmik vishwas
Diwali ki raat laxmi-ganesh puja ki vidhi kuch is prakar hai:
1.Shayan aur sthapna
Laxmi -ganesh ki murti ko ek saf chauki ya aasan par sthapit kiya jata hai . Sath me khata bahi ,nya anaj or dhan rakha jata hai.
2. Kalash sthapna
Kalash sthapit karke usme pani ,haldi ,chawal ,supari aur nariyal ko rakha jata hai jo samriddhi ka pratik hai.
3. Puja ka samaan
Diye ,roli ,chawal ,gulab ,phool ,dhoop ,diya ,meetha prasad aur panchamrit ka upyog hota hai .
4. Mnatra aur aarti
Laxmi ji ki aarti aur ganesh ji ki aarthi milkar ki jati hai . Isse gha me dhan ,sukh-shanti aur vighna -vinash ki prathna hoti hai.
5. Bahi khata puja
Vyapari log apne naye hisab isi din se karte hain. Ye pratha bahut hi prachin kal se chali aa rhi hai.
Adhunik yug me laxmi -ganesh puja
Aaj bhi har varg or samuday ke log diwali par laxmi- ganesh ji ki puja karte hain . Digital yug me bhi log online puja samagri mangwate hain. ,virtual puja karte hain. ,lekin bhawna wahi hain ..-ghar me sukh ,shanti aur gyan ka aagman ho .
Dipawali me laxmi or ganesh ji ki puja karne ka itihas bahut purana hai ,prachin grantho ,purano aur lok paramparao se juda hua hai . laxmi ji dhan or samriddhi deti hain. Jabki ganesh ji buddhi or pareshani ko door karte hain.Dono ki puja sath me is bat ka prateek hai ki sirf dhan hi nahi balki uska sahi upyog aur sukh-shanti bhi jaruri hai. Isi karan se diwali par har ghar,vyapari ,aur har samajik samuday me ganesh -laxmi puja bahut shraddha or bhakti se ki jati hai.
