Chautha Din 2025: Usha Arghya Vidhi & Chhath Puja Mahatva

Chhath puja ek lok parv hai jo shraddha ,pavitrata ,or bhakti ka ek bahut hi anokha udahran hain. Ye tyohar ko chaar dino tak manaya jata hai, Jisme har ek din ka apna ek alag hi mahatva hai or manyata . Is parv me surya bhagwan or chhathi maiya ki puja ki jati hai. ,Jinke bina jivan ka koi mahatva nahi hai .

Chhath puja ke chaar din kuch is prakar hai:

  1. Nahaykhaye-  Suddh hokar tyohar ki shuruwat krna .
  2. Kharna – Nirjala vrat ki taiyari or mahaprasad ka banna .
  3. Sandhya arghaya – Dubte hue suraj ko arghaya dena .
  4. Usha arghaya – Ugte hue suraj ko arghaya dena or vrat k khatm karna .

Is article mein ham chhath puja ke chauthe din ke bare me hone wale sabhi niyam or riti riwaj janenge or is parv ka mahatva samjhenge .

Usha arghaya ka matlab

‘usha ‘ ka matlab hai subah aur ‘arghaya ‘ ka matlab hai pani ya prasad ke roop me diya gya surya dev ko samarpan . Toh usha arghaya ka matlab hai ugte hue surya bhagwan ko pani arpan karna . Ye chhath puja sabse akhiri or bahut hi mahatvapurna din hota hai . Is din ko vrati apna vrat todte hai . Is din ko paran bhi kahte hai . Kisi parv ko tadne wale din ko ham paran ke nam se hi jante hai.

Is din ki mahatva

  • Ye din hamari jivan me nayi aasha ,urja or roshni ko lata hai.
  • Ugte hue surya ko arghay adena aasha , pragati or safalta ki prarthana krna hota hai.
  • Chhathi maiya se santan-sukh ,parivar kushhali or rog-mukt jivan ki kamna ki jati hain.
  • Ye vrat mahilaon ke liye santan prapti ,aur ladko ke liye samriddhi or sukh shnati ka rasta hain.

Usha arghaya ke din ka samaan or taiyari

Is din ki shuruwat bahut bubah bhor me hi ho jati hai , Lagbhag 3-4 baje se hog uth jate hain .

  1. Nahana or taiyari 
  • Vrati or parivar ke baki log sabhi nahate hain.
  • Suddh or saf kapde pahana jata hain.
  • Mahila vrati lal ,peela ya orange colour ki sadi pahanti hai -kyuki sare subh rang hai jo vrat -puja me pahne jate hain.
  • Purush vrati dhoti -kurta ya safed kapda pahnte hain.

2. Soop aur daura taiyar karna 

Soop aur daura bans ka bana hua tokri jisme sara saman sajaya jata hain.

  • Thekuwa (main prasad)
  • Nariyal
  • Seasonal fruits – kela ,santra ,sev ,narangi or sharipha ,ananas
  • Akshat (chawal)
  • Diya
  • Ganna ( sugarcane)
  •  Halwa ,kheer
  • Dhaniya -patta ,adrak
  • Supari ,Paan ,laung ,elaichi

Har saman ko bahut hi pavitrata or sundar dhang se sajaya jata hain.

3. Chhathi maiya ki murti ya photo ka sthapna 

Kuch log ghat par ya ghar me chhathi maiya ki photo ya murti rakhte hain or wha diya jala kar arghaya kiya jata hain.

Ghaat par janae ki pratha

Chhath puja ka sabse pavitra or bhavya najara hota hai ghaat par saanjh or subah ke arghaya ke time pe .

1. Ghar se ghaat tak yatra 

  • Pura parivar or samaj geet or bhajan ke saath soop ,daura aur prasad lekar ghat ki yatra krte hain.
  • Bahut jagah log kaanwar me prasad lekar nadi ya talab tak jate hain.

2. Ghaat ka mahatva 

  • Ghaat ya kisi jalashya (pond ,lake ,river ) ke kinare log surya ko arghaya dete hain.
  • Kuch log agar ghar me hi water tub ya tank bnakar puja krte hain ,to wahin pe arghaya dete hain.

Ugte surya ko arghaya dene ki vidhi

Samay 

  • Yeh arghaya surya uday ke samay diya jata hai.
  • Vrati or log pani me khade hokar surya ko arghaya dete hain.

Vidhi

  1. Soop \daura mein prasad lekar pani me khade hote hai .
  2. Diya jalakar soop ko surya bhagwan ki taraf uthaya jata hain.
  3. Surya dev ke mantro ka jaap hota hai jaise :                                                                                                                              ” Om suryaya namah ”                                                                                                                                                               ” Om adityaya namah ”                                                                                                                                                          ” Om bhaskaraya namah “
  4. Arghaya dete samay pani ,dhoop ,prasad aur bhakti se bhara hua soop upar uthaya jata hai.
  5. Log surya dev aur chhathi maiya se manokamna puri hone ki prathana karte hain.
  6. Bhaut log geet ga  kar apni bhakti prakat krte hain.

Paran (vrat todna )

. Arghaya ke bad 

  • Arghaya dene ke bad vrati nadi ya pani me doobki lagate hai.
  • Iske bad vrat ko khatm krne ke liye ghar jate hai.

. Paran vidhi 

  • Vrati thoda prasad (thekuwa , kheer or prasad khakar ) vrat todti hain.
  • Pehle pani ya tulsi pani liya jata hai, phir uske bad prasad khakar apna vrat toda jata hain.
  • Ghar ke sabhi log ke pair chhu kar vrati se aashirwad lete hain.
  • Iske bad sabhi log milkar prasad khate hain or batte hain.
Geet ,bhajan or sanskritik mahol

Chhath puja ke samay lok geet or puja ka vishesh mahatva hota hain . Kuch bahut hi famous geet :

  • “Uga hai suruj dev ,bhail  bhinsarwa “
  • ” Kanch hi baans ke bahangiya “
  • ” Pahile pahil chhathi maiya “
  • “Patna ke ghatwa “

Ye un aurto dwara samauh me gaya jata hai jo bhakti aur sanskritik mahol banata hai.

Usha arghaya ke din niyam or dhyan rakhne wali bate

  1. Pavitrata – Vrati  or unke parivar wale saf  kapde pahan kar saf man se bhakti karte hain.
  2. Niyamit samay – Surya uday ke samay hi arghaya diya jata hain.
  3. Shabd or bhawna ka mahatva –  mantra ,bhajan aur shraddha poorn bhavna se hi vrat safal hota hai.
  4. Bhojan – Paran ke bad satvik khana khaya jata hai. Hotel ya bajar ka khana nhi khaya jata hai.
  5. Vishesh tyag –  Kuch log poore chhath puja ke samay kam bola akrte hai ya bilkul hi maun vrat rakh lete hain.
Parivar or samuday ka yogdan
  • Chhath ek parivarik or samudaiyik parv hota hai .
  • Ghar ke sabhi log milkar taiyari karte hain or har kam me madad karte hain.

Samuday ke log milkar ghaat ki safai , sajawat aur prasad banate hain.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top