Bharat tyoharo ki bhumi h , jha har parv ka apna ek shandar dharmik ,samajik or sanskritik mahatva h. Dipawli ka parv panch dino tak manaya jata h. Pahle din dhanteras , dusre din narak chaturdashi , tisre din mukhya dipawli ,chauthe din gverdhan puja , panchwe din bhai dooj manai jati h. In sab me goverdhan puja ka sthan sabse mahatvapurn h. Ise annakut mahotsav bhi kaha jata h. Ye parv n kewal bhagwan shree krishna ke jivan ki mahatvapurna ghatna ki smriti h , balki prakriti ke prati abhar or paryavran sanrakshan ka sandsh bhi deta h.
GOVERDHAN PUJA KA AETIHASIK MAHATVA
Pyrani kathao ke anusar ,jab braj ke logo ne bhagwan shree krishna ki bat mankar Indradev bhagwan ko puja krne ke bajaye unke jagah par goverdhan parvat ki puja ki , to indra dev bahut gussa ho gye or unhone gokul ke logo par lagatar tej barish krke unhe saja dene ka kosish kiya . Har taraf pani hi pani fail gya or log pashu -pakshi pareshani me aa gye . Tab bhagwan shree krishna ne apni chhoti ungali par goverdhan parvat ko utha liya or pure braj ke logo ko us parat ke niche rahne ke liye jagah diya .
Sat dino tak lagatr barish hoti rahi , lekin gokul ke log surakshit rahe . Aakhir me indradev ne apni bhul mani or shree krishna se mafi mangi . Usi ghatna ko yad krke aj bhi goverdhan puja manai jati h. Ye parv hme sandesh deta h ki prakriti or uske apharo ka samman krna chahiye . , n ki ahankar me aakar unka glat istemal krna chahiye.
GOVERDHAN PUJA KA DHARMIK MAHATVA
Govedhan puja mukhya roop se bhagwan shree krishna or goverdhan parvat ko samarpit h. Is din log goverdhan parvat ka pratik roop bnakar uski puja krte h. Sath hi ye parv krishi or pashudhan se jude hue logo ke liye vishesh mahatva rakhta h kyuki ye prakriti ,dharti or anna ka utsav h.
Ise annakut mahotsav bhi kahte h kyuki is din alag -alag prakr ke anna , sabjiya , mithaiya aadi bnakar bhagwan ko bhog lagaya jata h. Ye bhog annakut kahlata h or samuhik roop se bhakt log hi unka prsad khate h.
GOVERDHAN PUJA KI PARAMPARAYE OR VIDHI
Bharat ke alag -alag rajyo me goverdhan puja alag -alag tariko se ki jati h. Samanya roop se puja ki vidhi is prakar h:
- Goverdhan parvat ka nirman :- Ghar ke aangan ya mandir me gobar se goverdhan parvat ka chitra banaya jata h. Ise phlo ,patto or diyo se sajaya jata h. Kahi -kahi mitti se bhi parvat ka aakar bnate h.
- Gay bail ki puja :- Is din gay ,bail or anya paltu pashuwo ko nahlakar sajaya jata h. Unke singho par rang lagaya jata h. Or unki vishesh puja ki jati h kyuki shree krishna khud gopal rah chuke h.
- Annakut bhog :- Ghar ki orte is din alag -alag prakar ke vyanjan banati h. Chawal , dal ,kadhi ,sabjiya ,mithaiya or halwa puri aadi saikdo prakar ke pakwan banaye jate h or unhe goverdhan parvat or bhagwan shree krishna ko arpit kiya jata h.
Aarti or bhajan :- Sham ko goverdhan parvat ki aarti hoti h. Or sare bhakt krishna bhakti ke bhajan gate h. Mandiro me vishesh prakar ki jhakiya sajai jati h.
- Prasad vitran :- Annakut ka prasad bhakto me bata jata h. Ise khana bahut punyakari mana jata h.
GOVERDHAN PUJA OR SAMAJIK MAHATVA
Ye parv kewal dharmik hi nhi samajik najariye se bhi bahut mahatvapurn h.
- Prakritik sanrakshan ka mahatva :- Goverdhan parvat ,nadi , jangal or pashudhan -ye sab prakriti ka hissa h. Is parv ke madhyam se hme prakriti ke liye samman or dhanyawad krne ka mauka milta h.
- Krishi or anna ka mahatva :- Annakut ka aayojan hme anna ke mahtva ki yad dilata h or anna ka apman n krne ki prerna deta h.
- Samajik ekta :- Annakut mahotsav samajik roop se manaya jata h jisse samaj me bhaichare or ekta ki bhawna badhti h.
- Gau raksha ka mahatva :- Goverdhan puja me gayo ki vishesh puja hoti h . Isse gay or pashudhan parampara bhi jivit rahti h.
ALAG -ALAG RAJYO ME GOVERDHAN PUJA
Bharat ke alag -alag hisso me goverdhan puja alag tarike se manai jati h.
- Uttarpradesh ( mathura or vrindavan )- Yha ye parv vishesh dhoom dham se manaya jata h. Annakut ke din saikado prakar ke khane banaye jate h or shree krishna mandiro me vishal bhog lagaya jata h.
- Rajasthan or gujrat – Yha goverdhan puja ke sath -sath gau puja par vishesh dhyan diya jata h.
- Madhya pradesh or bihar – Gawo me gobar se goverdhan parvat bnakar use phul -malao se sajaya jata h.
- Maharastra – Yha goverdhan puja ko “padawya ” kha jata h or ye din pariwar or samaj me samohik bhoj ka pratik h .
AADHUNIK SAMAY ME GOVERDHAN PUJA
Aj ke samay me shahar ke jagaho me goverdhan puja ki paramparathodi badal gyi h .Jha gawo me log aj bhi mitti ya gobar se parvar banate h,whi shaharo me log kagaj, mitti ya chitro se pratikatmak parvat bnakar puja krte h. Mandiro me bhi goverdhan parvat ki jhakiya or sajawat aakarshan ka kendra hoti h.
Social media or aadhunik sadhano ke karan ab log digital madhyam se bhi annakut ki jhakiya or bhakti gito ko log gate h. Halaki paramparaye badli h ,lekin iski aatma aj bhi whi h- krishma bhakti , prakriti snarakshan or anna ke prati samman .
GOVERDHAN PUJA SE MILNI WALI SIKSHAYE
- Ahanakr ka tyag – Indradev ka ghamand or shree krishna ki karuna hme skhati h ki ahankar hamesha vinashkari hota h.
- Prakriti ka mahatva – Hme pani ,jangal ,parvat or pashudhan ka sanrakshan krna chahiye .
- Samuhikta or sahyog – Ye parv samuhik roop se manaya jata h ,jo samaj me sahyog or bhaichare ko badhawa deta h.
- Anna ka samman – Annakut hme sikhata h ki anna sirf khana nhi ,balki jivan ka aadhar h.
Goverdhan puja sirf ek dharmk anushthan nhi h balki jivan ko rasya dene waka tyohar h . Ye parv hme batata h ki insaan ko ahankar chhod kar prakriti ,anna or pashudhan ka samman krna chahiye . Goverdhan puja ,dipawli ke pawan parv ka abhinna ang h, jo aanand ,bhakti or ekta ka sandesh deta h.
Ham sabka kartavya h ki hm is parv ki bhavna ko apne jivan me apnaye or prakriti , anna or pashudhan ka aadar kre .Tabhi ham sahi aartho me goverdhan puja ki parampara ko jivit rakh payenge .
