Hmara desh bharat ek dharmik or sanskritik paramparao se bhara -pura desh h. Yha har ek tyohar ka apna ek visesh mahatva or manyataye hoti h. Dipawli parv ka shuruwat dhanteras hota h . Ye din hmare bhartiya samaaj me samriddhi ,swathaya or saubhagya ka prateek hota h. Kartik mahine ki krishna paksh ki tryodashi tithi ko manaya jana wala ye parv “DHANTERAS” Ya dhan tryodashi kaha jata h. Is din bhagwan dhanvantari ,dhan ke devta kuber or mata lakshmi ki puja ka vishesh mahatva hota h.
Dhanteras ka dharmik mahatva
Dharmik mantyatao ke anusar ,samundra manthan ke samay jab bhagwan or rakshaso ne kshirsagar ka manthan kiya tha ,tab 14 ratno ke sath bhagwan dhanvantari amrit kalash or ayurved shashtra lekar prakat hue . Is karan is din ko “dhanteras ” kaha jane laga . Bhagwan dhanvantari ko ayurved or ilaj ka pita mana h .Isliye log isi din inki pujan ke sath -sath apni swasthaya ke hetu sankalp lete h. Iske alawa is din kuber ji ki bhi puja ki jati h. Manajata h ki kuber ji ko dhan ka swami banya gya h. Is din puja krne se jivan me sukh -samriddhi or vaibhav ki prapti hoti h.
Dhanteras or yamdeepdan ki parampara
Dhanteras ke tyohar se judi hui ek or mahatvapurna parampara h – Yamdeepdan . Jane mane katha ke anusar ,Hima nam ki ek raja ke bete ki patni ne apne pati ko akal maut se bachane ke liye dhanteras ki rat ko diya jalakar , darwaje par roshmi kar yamraj ko khush kiya tha .Kha jata h ki yamraj ko deepdan krne se akal maut ka dar katm ho jata h .Or ghar me sukh samriddhi bani rajti h. Inhi sab karano se dhanteras ki rat ko deepdan bahut subh mana jata h.
Dhanteras par kharidari ki parampara
Dhanteras ke din bahut sari chiije kharidne ka alag hi mahatva h. Dhanteras ka ek alag hi aakarshan h-naye bartan ,sona -chandi ,gadi ,gahne or grihasthi ke saman ki kharidari krna . Manyata h ki is din kharidi hui samane maa lakshmi or kuber ki kripa lati h . Khas taur par dhatu se bani chijo ko subh mana jata h . Gaon ke ilako me log isi din krishi upkaran kharidte h . or jabki shahro me log electronics , gadiya or ghar ka saman kharidte h . Dhanteras ke din jhadu kharidna bhi bahut subh mana jata h . Manyata h ki jhadu maa lakshmi ka pratik h ,or dhanteras ke din jhadu kharidne se ghar me kahi bhi dhan ki kami nhi hoti h.Isliye dhanteras ke din sabhi log kuch kharde ya na kharde par jhadu jarur kharidte h . Dhanteras ke samay par sabhi dukano me bahut sare samano par offer bhi nikale jate h ,taki log offer ke wajah se or khariddari kare . Bahut sari bartan ke dukano me ,electronics ke dukano me ,or gadiyo se showroom me bi kai tarah ke offer nikale jate h . Sabhi online platform jaise amazon , flipkart , myntra ,meesho jaise shhoping apps pe bhi kabhi sare offers or discount nikale jate h . Malls ye sb me bhi hme bahut sare offers jaise 50% doscount ,buy 1 get 1 .buy 1 get 2 jaise bahut offers milte h.
Dhanteras par swasthaya sambandhi najariya
Dhanteras parv ka sambandhsirf dhan or sampatti se i nhi balki swathaya or lambi aayu se bhi h.Bhagwan dhanvantari ke puja ka matkab h ki insaan apne swasthaya ke prati bhi sawdhan rahe . Ayurved me kaha gya h ki ” swasthaya hi sabse bada dhan h ” Is din ayurvedik dwao ko khana ,tambe ya chandi ke bartan me suddh khana khane ki parampara rahi h .
Dhanteras ki kathaye or manyataye
1. Samundra manthan ki katha :- Bhagwan dhanvantari ke prakat hone se ye din dhanteras kahlaya .
2. Hima ki katha :- Deepdan krne se apne pati ki akal maut ko talne ki katha .
3. Kuber puja ki manyata :- Kha jata h ki is din kuber ji ki puja krne se jivan me asim sampattai aati h.
4. Lakshmi puja ki manyata :- Maa Laskhmi is din ghar-ghar ghumti h or saf suthre gharo me prawesh krti h.
Dhanteras or samajik mahatva
Dhanteras kewal dharmik drishti se hi nhi ,balki samajik or aarthik drishti se bhi bahut mahatvapurna h . Is din bajaro me raunak rahti h ,Log kharidari krte h jisse vyapar me vriddhi hoti h. . Swarnakar , vyapari or kumhar jaise chhote -bade sabhi vayvasayiyo ko is parv se fayda milta h . Samaaj me ekta or madad ki bhagna prakat hoti h.
Dhanteras or dipawli ka sambandh
Dhanteras dipawli mahaparv ki shuruwat h . Iske bad nark chaturdashi ,dipawli or goverdhan puja hoti h. Dhanteras ka mahatva dipawli ki aadhar tal taiyar karna h . Is din se hi log ghar ki sajawat , diya jalana , or lakshmi-kuber ki aradhana shuru krte h .
Vaigyanik najariye se dhanteras
Agar hm vaigyanik najariye se dekhe to dhanteras ka parv anek karano se mhatvapurn h . –
- Dhatu (sona-chandi ,tamba ,pital ) ka swasthaya par achchha prabhav padta h.
- Diya jalane se mahol me suddhta aati h or shakti sanchar hota h.
- Ayurvedik dwaiyo or jadi butiyo ko khane se is mausam me swasthaya ke liye faydemand hota h .
- Safai or sajawat se ghar ka mahol saf or achchha banta h .
Aadhunik samay me dhanteras
Aj ke samay me dhanteras ki paramparao me badlaw aaya h . phle log sirf bartan ya sona -chandi kharidte the ,lekin ab log electronics ,gadiya ,property or mahnge saman bhi kharidte h . Halaki , iska mul bhaw whi h – naye saman ghar me lakar samriddhi krna . Sath hi , log online shopping or digital payment se bhi is parampara ko nibha rhe h.
Dhanters ka naitik sandesh
Dhanteras hme yah sikhata h ki dhan sirf sansarik samano tak hi nhi h. sabse bda dhan h -swasthaya ,parivar ka pyar ,gyan , vyavhar . Agar hmare pass ye sab h , to ham sachme dhanwan h. Bhagwan dhanwantari ki puja se hme swasthya ka mahatva ko samajhana chahiye , or kuber lakshmi ki puja se hme siksha milti h ki dhan ka upyog samaj or parivar ki bhalai me hona chahiye .
Dhanteras ka parv bhartiya sanskriti ki mahan parampara ka pratik h. Ye sirf dhan ki praprti ka din nhi h ,balki swasthya ,samriddhi or sukhmay jivan ki kamna krne ka din h.Ye parrv hme yad dilata h ki jivan me dhan or swasthya dono ka santulan hi sacha dhan h. Dipawli shuruwat krne wala ye din hme aatmik or bhautik dono najariye se samriddhi ki or aage badhata h.
