Bharat tyoharo ki bhumi hjha har parv samajik ,dharmik or sanskritik sandesh lekar aata h. Dipawli ka mahaparv panch dino tak manaya jata h. Or isme har din ki apni vishesh mahatava h. Dhanteras ,narakchaturdashi ,dipawli , goverdhan puja ke bad jo panchwa din aata h,Use bhaidooj kha jat h. Yah parv bhai-bahan ke pavitra rishte ko samarpit h. Yha rakshabandhan bhai ki kalai par rakhi bandhkar manaya jata h,whi bhaidooj me bahan apne bhai ko tilak lgakar lambi umar or samriddhi ke liye kamna krti h.
Bhai dooj ki pauranik mahatva
Bhai dooj ke bare me bahut sare kathaye prachalit h, jinme pramukh is prakar h:
- Yamraj or yamuna ji ki katha :- Purani katha ke anusar , yamraj ki bahan yamuna ji apne bhai ko lambe samay se apne ghar bula rhi thi . Jab yamraj bhaidooj ke din unse milne pauhche, to yamunaji ne unhe bahut hi pyar se khana khilaya or tilak lagaya . Khush hokar yamraj ne bahan ko vardan diya ki is din jo bi bahan apne bhai ko pyar se khana khilayegi or tilak lagyegi , uske bhai ki umar lambi hogi r wah yamlok ke dar se mukt rahega . Tabhi se bhaidooj ka ye parv manaya jane lga .
- Bhagwan krishna or subhadra ki katha :- Ek or manyata ke anusar , narkasur ko marne ke bad bhagwan shree krishna apni bahan sibhadra se milne gye . Subhadra ne unka swagat kiya , unki aarti utari or tilak lagaya . Tabhi se bhaidooj ka parv bhai -bahan ke is pravitra prem ka pratik ban gya .
Bhai dooj ki parampara or vidhi
Bhai dooj ka parv bhaatbhar me alag -alag tariko se manaya jata h, lekin iski mul bhawna bhai -bahan ka pyar h . Iski pramukh parampara is prakar h:
- Bhai ka nimantran :- Is din bahan apne bhai ko ghar par bulati h.
- Aarti or tilak :- Bahan bhai ko aasan par baithakar uski aarti utarti h or mathe par chandan , kumkum ya roli ka tilak lagati h.
- Bhojan :- Bhai ko manoasand khana or mithaiya khilai jati h.
- Uphar or aashirwad:- Bhai apni bahan ko uphar deta h or bahan apne bhai ki lambi umar or khushali ki kamna krti h.
- Yam-deepdan ki parampara :- Kai jagaho par is din sham ke samay ghar ke bahar diya jalakar yamrj ko samarpit kiya jata h, jisse akal maut ka dar dur hota h.
Bhaidooj ka samajik mahatva
Bhaidooj kewal dharmik anushthan nhi h , balki samajik najariye se bhi iska gahra mahatva h.
- Bhai-bahan ke rishte ko majboot krna :- Ye parv bhai -bahan ke bich prem ,viswas or sahyog ki bhawna ko badhata h.
- Pariwarik ekta ka pratik :- Is din pariwar ke sabhi sadasya ek sath milkar parv manate h,jisse ridhte me ekta or majbooti aati h.
- Samanta or sneh ka sandesh :- Bhaidooj kewal sage bhai -bahano tak hi simit nahi h . Kai jagaho par is din bahne pados ya samaj ke anya bhaiyo ko bhi tilak lagati h, jisse samaj me bhaichare ki bhawna majboot hoti h .
- Stree-samman ka mahatva :- Ye parv samaj ko ye yad dilata h ki bahan or betiya ghar ki lakshmi hoti h,or unka samman krna parivar ki jimmedari h.
Alag -alag rajyo me bahidooj
Bharat ke alag -alag rajyo me bhaidooj ke alag -alag nam or paramparaye dekhne ko milti h:
- Uttar bharat – Uttar pradesh ,bihar ,jharkhand aadi me ise bhaidooj ke nam se hi manaya jata h.
- Maharastra or goa –Yha ise bhaubij kha jata h. Bahan apne bhai ko bula kar tilak krti h or nariyal bhet me deti h.
- Paschim bangal :- Ise bhai tika kha jata h. Is din bahan bhai ko tilak krti h or vishesh khana khilati h.
- Nepal :- Yha ise bhai tika kha jata h . Panch rango ke tilak se bhai ko tika lagaya jata hor yah parv badi dhoomdham se manaya jata h.
Bhaidooj or aadhunik samay
Aj ke vyast jivan me bhi bhai dooj ka mahatava kam nhi hua h. Bhale hi shaharo me log dur-dur rahte h ,lekin is parv par bhai-bahan milne ka koshish krte h. Jo bhai -bahan ek -dusre se mil nhi pate , we aadunik taknik jaise videocall ya online madhyam se tilak or subhkamnaye sanjha krte h.
Iske alawa bhai bahno ko uphar dene ke liye naye tarike bhi viksit hue h. Phle jha uphar kewal mithaiya or kapdo tak hi simit the , whi aj gift card ,electronic saman or anya upyogi chije bhi uphar me di jati h.
Bhaidooj se milne wali sikshaye
- Parivarik ekta :- Ye parv hme parivar or rishto ko mahatva dene ki siksha deta h.
- Bhai-bahan ka pyar :- Bhaidooj bhai-bahan ke rishte me prem or samman ko majboot banata h.
- Smanta or suraksha ka sandesh ;- Ye parv samaj ko sndesh deta h ki har bahan surakshit or sammanit homi chahiye .
- Prem or kritgyata :- Bhaidooj hme sikhata h ki jivan me rishto ko samjhe or unka samman kre .
Bhaidooj bharat ka ek anokha or sabse alag or achchha tyohar h jo ki bhai -bahan ke rishte or bhai- bahan ke ladai or bhai -bahan ke riste ki nok -jhok ko dikhata h. Bhaidooj bharat ki samriddh sanskritik paramparao ka darpan h . Ye parv bhai-bahan ke pavitra rishte ka utsav h, Jo prem ,viswas ,sahyog or kartavya ka sandesh h . Dipawli ke is antim din bhai dooj ka parv hme ye yad dilata h ki sachcha dhan parivar ka prem or ekta hi h.
Aj ke samay me jab log vyast jivan me rishto ko samay nhi de pate ,tab bhaidooj jaise parv hme rishto ki ahmiyat yad dilate h. Aakhir ,hme is parv ki bhawna ko apnakar apne parivar or samaj me prem or bhaichara banaye rakhna chahiye . Yhi asli bhaidooj ka vastvik sandesh h.
